"HELLO FRIENDS WELCOME IN MY BLOG"

I AM "PRASHEN VERMA" COMPUTER ENGINEER I WRITE POEM BY NICK NAME "SOAM" IF ANY BODY INTRESTED IN MY POEM THEN FOLLOW MY BLOG.

......................THANK YOU TO ALL

Tuesday, September 21, 2010

"PARAMPARA"

IS SAMAJ KI EK HAI SIDHI,SABKO CHADHNA PARTA HAI.
SABSE PAHLE IS DUNIYA ME EK BACHCHA PAIR BARATA HAI.
AKAR KE IS PRATHVI PAR,SAMAJ KI PARAMPARA NIBHATA HAI.
DHIRE-DHIRE AAGE BADHTA,VOH BACHCHA BARA HO JATA HAI.
US BACHCHE KE BADHNE PAR,PARIVAR ME KHUSHI GUJATI HAI.
LOG USE DULRATE HAI PYAR SE GALE LAGATE HAI.
VAH BACHCHA JAB KHUD SOCHE APNE BARE ME SOCHE.
EK DIN MAI BHI BARA BANUGA ,MAI BHI SABKO PYAR KARUGA.
JAB BACHCHE KE JIVAN ME VOH GHARI EK DIN AATI HAI.
VOH JATA HAI BAHAR TO,USKI BATE LOGO KO BHATI HAI.
EK DIN USKO EK PYARA CHEHRA,IS DUNIYA ME MILTA HAI.
USSE KUCHH BATE KARTA HAI,DIL KO VOH CHHU LETA HAI.
UN DONO KO ITNA PYARA IS DUNIYA ME LAGTA HAI.
LEKIN FIR SE IS SAMAJ KI SIDHI PAR CHADHNA HOTA HAI.
US BACHCHE KE GHAR VALE USKI MANGANI KAR AATE HAI.
EK DIN US BACHCHE KO US GHAR ME JANA HOTA HAI.
BAHUT BAR VOH SOCH-SOCH KAR AKHIR US GHAR JATA HAI.
US GHAR ME JAKAR KE VOH,SAMAJ KI PARAMPARA NIBHATA HAI.
SAMAJ KI PARAMPARA NIBHATA HAI,AUR IKLOTA VOH KAR JATA HAI.
IKLOTA VOH KAR JATA HAI,KHUD KO BHI TANHA PATA HAI.
PAR FIR BHI VOH ITNA ACHCHHA ,SAMAJ KI PARAMPARA NIBHATA HAI.
................"SOAM"

"MERE DOST KI PYARI KAHANI"

ARZ KIYA HAI HA JI ARJ KIYA HAI...........KEVAL ARJ KIYA HAI.
EK LARKI HAI MERE COLLEGE KI,USKI ADA NIRALI HAI.
NAAM HAI USKA MONI JI, ANDAR SE VAH AALI HAI.
VAH SABSE BATE KARTI HAI,BATO SE NAHI DARTI HAI.
BATE KARTI BATE SUNTI,JOR SE VO MUSKATI HAI.
JAB BHI KOI USKO DEKHE, ANDEKHA VO KAR JATI HAI.
VOH SABSE JYADA BATE KARTI VAH TO DILVARJANI HAI.
DILVARJANI RAJU HAI BATE VO BHI KARTA HAI.
BATE VO BHI KARTA HA,PAR KAHNE SE KUCHH DARTA HAI.
JAB BHI USSE KUCHH PUCHHO VAH DUSRA UTTAR DETA HAI.
DUSRA UTTAR DETA HAI,FIR SE MUSKARA DETA HAI.
JAB BHI MAI ULJHATA HU,KUCHH BATE AUR BADHATA HU.
AKHIR VOH MERA BANDA,SACH-SACH BATE KARTA HAI.
FIR MUJHE BAHUT HASI AATI HAI,FIR VOH LAJJIT HOTA HAI.
FIR DHIRE SE VOH HASTA HAI AUR DUSRI BATE KARTA HAI.
UN BATO KO CHHOR TABHI VOH NAYE BINDU PAR AATA HAI.
LEKIN MAI TO KEVAL USSE MADOM KI BATE KARTA HU.
VOH KAHTA TUM CHUP BAITHO,KYO YESI BATE KARTE HO.
PAR MUJHE BAHUT HASI AATI HAI JAB BHI YEH VO KAHTA HAI.
MUJHE PATA HAI SAB KUCHH JI VOH PYAR USI SE KARTA HAI.
LEKIN USME NAHI HAI HIMMAT,KAHNE SE VOH DARTA HAI.
JAB BHI KAHTA MUJHSE KAHTA,FIR USE MAJAK BATATA HAI.
ANT SAMAY TAK MAI BHI USSE SARI BATE KARTA HU.
FIR KAHTA MAI JATA HU ,JOR SE PAIR BADHATA HAI.
HAR SAMAY SOCHATA USKE BARE ME,KAHTA VOH DILVARJANI HAI.
MERE KHWABO KI RANI HAI,EK DIN MUJHKO LANI HAI.
EK DIN MUJHKO LANI HAI, MERE KHWABO KI RANI HAI.
VOH TO DILVARJANI HAI,SACH ME DILVARJANI HAI.
.................."SOAM"

Saturday, August 7, 2010

"DO DIL"

MERA DIL HARDAM YE SOCHATA UN PRIYAJAN KE BARE ME.
KASH AISA HI HOTA JO CHAHTE DO MAN DUNIYA ME.
YADI SACH ME VO PREMI HOTE SABHI MILA DETE DONO KO.
DONO MILAKAR KHUSH RAHTE KABHI NA KISI SE KUCHH KAHTE.
VOH MILKAR KE SAB SACH KARTE JO BHI BUNATE APNE MAN ME.
UNKA SAPNA SACH HOTA HAR KAM LAGAN SE VO KARTE.
KARTE SAB KAM SUKHI MAN SE AAGE BHI SACHCHE SAPNE BUNATE.
UN SAPNO ME BHI EK SAPNA HOTA JO VO ANKHO ME HI SANJOTE.
EK DIN USKO ISHVAR BHI SACHCHE DIL SE PURA KARTA.
UN SAPNO KE PURE HOTE UNKE PAR SAB HARSH JATATE.
KAHTE DUNIYA VALO DEKHO SACHCHA PYAR ISE KAHTE HAI.
PREMI KO KOYI BADHA SACH ME TANIK NA CHHU PATI.
KOI BHI BADHA AATI JO PYAR KO DEKH PIGHAL JATI.
KAHTI VOH TO SACHCHE HAI DIL SE BHI VOH ACHCHHE HAI.
MERE VAS ME NAHI SATANA UNKE PAS NAHI HAI JANA.
AISA PYAR RAHA DUNIYA ME,SAB PAYEGE EK PAIMANA.
US PAIMANE KO LEKAR VOH SARI DUNIYA MAPEGE.
MAP KE SARI DUNIYA KO PYAR KO SAB ADBHUT MANEGE.
PYAR BARA HAI -PYAR BARA HAI PYAR HI TO EK NAYA KHUDA HAI.
USNE SABKO JIVAN DIYA HAI PYAR NE JIVAN BARA KIYA HAI.
PYAR SE HI SAB DIL JURTE HAI PYAR SE HI HI ATMAYE MILTI HAI.
AATMAO KE MILNE PER VO HAR JIVAN ME SATH NIBHATE.
SATH NIBHAKAR KAYAM KARTE PYAR KI VO MISHAL BANATE.

..............PRASHENVERMA"SOAM"

"DO PREMI"

MAINE EK BAT KO JANA HAI,AUR USAKO HI PAHCHANA HAI.
JAB MERI ANKH JHAPAKTI HAI,KISI KI YAD KA AANA-JANA HAI.
JAB BHI ANKHO ME MERI,KOI BHI ASHU AATA HAI.
TUM SAMAJH SAKO TO SAMAJH LENA,VOH KEVAL TUMHE BULATA HAI.
YEH SOCH MERA DIL KAHTA HAI,KI SACHMUCH VOH BHI KAHTI HAI.
KI PRIYAVAR MAI BHI TUMKO HI,YAD HAMESHA KARTI HU.
SAMAJH SAKO TO AA JANA,VARNA YADE TO AAYA KARTI HAI.
YAD TUMHARI YAD HAMARI,DONO YADE RAHTI HAI.
PAR PYAR TUMHI PAR AATA HAI,JAB BHI AAHE BHARTA HAI.
KUCHH PREM KE PAKSHI AATE HAI,MUJHKO PRIY GIT SUNATE HAI.
TUM SAMAJH SAKO TO AA JANA,VARNA PAKSHI YE GATE JATE HAI.
MUJHE PYAR TUMHI SE AATA HAI,JAB BHI TAHALNE JATE HAI.
KUCHH KARM-DHARM KA NAM BHI HAI,ROJ TUMHI SE JATATE HAI.
MERE PRIYA SAMBODHAN SE ,TUMKO SANTUSHTI MILATI HAI.
LEKIN PRIYA TUMKO SUNE BINA YEH MAN KUCHH NAHI KAR PATA HAI.
TERE EK SAMBODHAN SE ,MERA DIL HARSH JATATA HAI.
KI TUM KITNI PYARI ACHCHHI HO,BAS PRITI YAHI DARSATA HAI.
TERE KOMAL SHPARSHO SE,MERA MAN VYAKUL HOTA HAI.
TUM PURNARITI APNALO JI,YEH MERA MAN HI KAHTA HAI.
TUM KAHO MUJHE TUM SUNO MUJHE,DIL YAHI SOCH KAR DHARAKATA HAI.
KI TUM KITNI PYARI DILKASH HO,SAU BAR YAHI DIL KAHTA HAI.
SOCH-SOCH KUCHH KAHTA HAI,MILANE SE BHI DARTA HAI.
PAR MILKAR BHI KUCHH JATA NA PATA,YAHI SOCHA KARTA HAI.
IS DUNIYA ME ITANE PYARE HAI,JAISE SIKKA KHANAKATA HAI.
KUCHH YAD AAPKI AATI HAI,DIL BAR BAR JO DHARAKTA HAI.
TUM ITNE PYARE DILKASH HO,YAHI SOCHTA RAHTA HAI.
PYAR TUMHI PAR AA JATA HAI,DIL BAR-BAR YEH SAHTA HAI.
JAB BHI TUM NARVAS HOTE HO,DIL BAHUT JOR SE TARAPTA HAI.
KI KAUN PARESHANI AAYI HAI,JO CHEHRA AISE DIKHTA HAI.
TUM JALDI MUSKAN KO LE AAO,TERA CHEHRA ACHCHHA NAHI LAGTA HAI.
JAB BHI HOTH TUMHARE HASTE HAI,SARA DIL BHAR JATA HAI.
EK HI PAL ME TUMKO CHURANE KA DIL KARTA HAI.
YAHI RITI AUR YAHI PRITI HAI JO VYAKUL KAR DETI HAI.
TERE HOTH HAMESA MUSKAYE ,DILSE YE TAMANNA NIKALTI HAI.
YE DILI TAMANNA JHUT NA HO TUMHE APANA DHYAN LAGANA HAI.
MERI DILKAS ABHILASHA HAI TUMKO BHI SADA MUSKANA HAI.
TUMKO BHI SADA MUSKANA HAI,MUJHAKO BHI JARA BATANA HAI.
TUMKO KUCHH NA CHHIPANA HAI,SACH ME HI MUSKANA HAI.
MERI PRIYA YEH ABHILASHA HAI TUMKO JIT DILANA HAI.
IS PREM BHARI IS KAVITA ME TERI TASHVIR SAMAI HAI.
HAR SAMAY TUMHI KO HI DEKHU YAD HAMESHA AAYI HAI.
PRIYA TUMHE BULANE KI CHAHAT,MERE DIL ME SAMAI HAI.
MERE DIL ME SAMAI HA,TASHVIR SAMNE AAYI HAI.
PRIYA TUMHE HAMESHA MAI DEKHU,DIL KI YE GAHRAI HAI.
PYAR TUMHI PAR AATA HAI YE KITANI DILKASH ANGRAI HAI.
...............PRASHENVERMA"SOAM"

Friday, August 6, 2010

"EK PYARA SAPANA"

MERI ANKHO NE EK CHEHRA DEKHA,PYAR BHARA MUSKAN BHARA.
JAB BHI SOCHE ANKHE HAS DE,DIL MAHSUS KARE KHARA.
ITANA PYARA DILKASH CHEHRA ,KAISE AAYA ISI DHARA.
BAR-BAR VOH MUJHKO DEKHE,NA SOCHE KOI AUR PARA.
ITANA PYARA LAGE MUJHE VOH ,JAISE GHATA BICH SURYA.
TAB DIL SOCHE AUR JYADA SOCHE,KASH MILE VOH MUJHE JARA.
CHEHRA USKA PHULO JAISA,JAISE LAGTA ABHI KHILA.
PYAR USI PAR AA JAYE JAB BHI SOCHU VOH DILBARA.
ANKHE USKI ITANI PYARI,JAISE MOTI ABHI GIRA.
KAHNE KO TO KAH DETA,PAR SHABD NAHI MIL PATE HAI.
USKE GAL GULABI HAI PAR SURAT AUR BHI PYARI HAI.
KUCHH KAHTA HU KUCHH SOCHTA HU ROJ USI KE BARE ME.
BHUL TABHI KUCHH JATAHU DHURTA HU JAB USE YARO ME.
KITANI DILKASH KITANI PYARI ,AAVAJ SUNAI DETI HAI.
PAR USKO SUNTE-SUNTE ,VOH SAMNE HI DIKHAI DETI HAI.
JAB USSE KUCHH BHI KAHTA HU,USKO SAB PYARI LAGTI HAI.
MILNE KO TO VO MIL JAYE,PAR SAPNA JAISA LAGTA HAI.
JITANA PYAR MUJHE AATA HAI SAB NYOCHHAVAR JARA-JARA.
JO MAI SOCHU VOH KAH DETI JO VOH SOCHE MAI KAH JATA.
ITANA PYARA DILKASH RISHTA ,KAISE AAYA ISI DHARA.
PYAR USI PAR AA JAYE JAB BHI SOCHU VOH DILBARA.
USKE HOTH GULABI HAI,PAR PHULO SE PYARE LAGTE HAI.
JAB DEKHU TO VOH HAS DETI HAI,AUR SOCHATI BAHUT PYARA.
KAISE KAHU VOH CHAND LAGTI HAI,VOH TO HAI SABSE NIRA.
PYAR USI PAR AA JAYE JAB BHI SOCHU VOH DILBARA.
KAHNE KO TO LARKI HAI PAR MUJHKO LAGTI SAKCHHAT PARI.
JAB BHI DEKHU USKO DEKHU,ITANI DILKASH AUR KHARI.
PYAR USI PAR AA JAYE JAB BHI SOCHU VOH DILBARA.
................PRASHENVERMA"SOAM"

Tuesday, August 3, 2010

"APNI-APNI SOCH"

SOCH-SOCH KAR SOCH KO BADLO PYARE HINDUSTAN ME.
JAB BHI KOI MIL JAYE DIL SE DO SAMMAN RE.
YADI DOGE SAMMAN TUM NA PAOGE APMAN.
APNI VANI SE HI TUM DUNIYA KA DIL JEETOGE.
YADI BOLOGE KARKAS BOLI DUNIYA KA DIL CHIROGE.
IS DUNIYA KE SARE PRIYA-JAN KEVAL PYAR KE BHUKHE HAI.
BINA PYAR KE KUCHH NA MILEGA IS DUNIYA KE INSAN SE.
SAB KUCHH TUMKO MIL JAYEGA YADI CHAHO IMAN SE.
BINA SATYA KE KUCHH BHI NA HOGA IS PYARE HINDUSTAN ME.
APNI SOCH SE NA BADAL PAOGE IS SAMAJ KI KURITI KO.
JO SOCHOGE DUSRE JAISA TO UTTAR PAOGE US INSHAN SE.
USKE BAD BADAL PAOGE IS SAMAJ KI KURITI KO.
PYAR SE SAB KUCHH BADAL JAYEGA IS PYARE HINDUSTAN ME.
IS PYARE HINDUSTAN ME.............
-----------PRASHENVERMA"SOAM"

"SWARNIM DIN"

AAJ KA DIN HAI BARA HI SWARNIM SHUKRA MANAYA JAYEGA.
SACH-SACH KAHTA HAI MERA DIL YAAD HAMESA AAYEGA.
JAB BHI BAITHEGE HAM DONO BAT CHALAYA JAYEGA.
HAM-TUM JAB BHI MILTE THE VAH YAD HAMESA AAYEGA.
SATYA SAKHE MAI KAHTA HU AAJ RASHM NIBHAYA JAYEGA.
YEH SAB TERE JEEVAN ME HAR VARSH YAD YEH AAYEGA.
JAB BHI HAM SAB MIL PAYEGE PYAR BAHUT HI AAYEGA.
PAR TUM SAMJHO METRE PRIYA (DEAR)KABHI TERI YAD NA JAYEGI.
RAHEGE DONO DIL ME HAMESA TUMKO BHI PATA CHAL JAYEGA.
EK DIN TUM BHI SOCHOGE KYA PYARA BANDA HAI JI VAH.
LEKIN MUJHE HAMESHA HI TERI YAD SATAYEGI.
CHAHE MANO YA NA MANO TUMKO BHI PATA CHAL JAYEGA.
TUM TO MERE SABSE PRIYA HO KUCHH BHI NAHI BATANA HAI.
KEVAL PYARE APNE DIL KI SARI BATE SAMJHANA HAI.
HO TO SABSE PYARE TUM IS DIL NE HI YEH JANA HAI.
TUMKO BHI SAB PATA HAI JI KUCHH BHI TUMKO NA BATANA HAI.
PYARE TUMKO APNE DIL ME JIVANBHAR RAKHNA HAI.
PAR HAM DONO KO HI YEH SACH-SACH DIL SE KAHNA HAI.
TUM TO ITNE PYARE HO TERI ADA NIRALI HAI.
TERI MERI SARI BATE IS DIL NE HI NIKALI HAI.
SACH-MUCH TUM ITNE PYARE HO TERI ADA NIRALI HAI.
TERI ADA NIRALI HAI MERE DIL KI LALI HAI.
PURNIM-PURNIM HAI YEH DIN SACH-MUCH YAD SATAYEGI.
TERE KOMAL VANI KI YAD HAMESA AAYEGI.....
YAD HAMESA AAYEGI.....
............-PRASHENVERMA"SOAM"